Posts

Showing posts from January, 2016

Dil ko manana aasan nahi hota.. Apno ko satana aasan nahi hota.

Dil ko manana aasan nahi hota.. Apno ko satana aasan nahi hota.. Wada karna aasan hota hai.. Magar wada nibhana aasan nahi hota..

Meri Aankhen Bhi Mujhse Ek Din Yeh Keh Dengi

Meri Aankhen Bhi Mujhse Ek Din Yeh Keh Dengi Khwab Uske Na Dekha Karo Hum Se Ab Roya Nahi Jata.. Kitna Dilchasp Hai Izhar e Mohabbat UsKa Apni Tasveer Saja Di Meri Tasveer Ke Sath.. Qurbaan Jaun Us Shaks Ke Haathon Ki Lakiro Par.. Jisne Tujhe Maanga Bhi Nhi Or Apna Bana Liya

Kahin Andhera To Kahin Shaam Hogi Meri Har Khushi Tere Naam Hogi

Kahin Andhera To Kahin Shaam Hogi Meri Har Khushi Tere Naam Hogi Kuch Maang Ke To Dekh Ae Mere Dost Honthon Pe Hansi Aur Hatheli Pe Jaan Hogi.

Taras Gayi Hain Nigahen Wo Nazar To Aa Jaayen

Taras Gayi Hain Nigahen Wo Nazar To Aa Jaayen Mujhe Na Mile Meri Taraf To Aa Jaayen Main Uski Yaad Ko Dil Se Nikal Dun Lekin Kisi Tarha Mujhe Yeh Hunar Toh Aa Jaaye.

Itna asaan nahin tha mujh ko bhulaana,

Itna asaan nahin tha mujh ko bhulaana, Uss ne khud ko ganwaa diya ho ga.. Sakoon naseeb nahi hai mujhe ujaalon main, Chiraagh le kar andhere talaash karta hoon.. Maan lijiye chehre pe dhool hai, Ilzaam aayine pe lagana fazool hai..

Wo Ek Pal Hi Sahi Jis mein ‘TUM’ Mil Jao Mujhe.

Wo Ek Pal Hi Sahi Jis mein ‘TUM’ Mil Jao Mujhe. Aur Us Ek Pal Se Zyada Zindagi Ki Khwahish Bhi Nahi Mujhe.

khuda ka shukr hai ki ansu berang hote hain

khuda ka shukr hai ki ansu berang hote hain… Warna raton ko bheeg jane wale takiye dil ka haal bayan kar dete. Yeh jo chand fursat ke lamhe milte hain jeene ke liye, Main unhe bhi tumhe sochte hue hi kharch kar deta hun.. Wahi hua na.. tera dil bhar gaya mujhse Maine kaha bhi tha.. yeh mohabbat nahi kuch dillagi si hai

Koi nahi aayega meri zindagi mein tumhare siva

Koi nahi aayega meri zindagi mein tumhare siva, Ek maut hi hai jiska main vada nahi karta.. Ek hasrat thi ki kabhi vo bhi hume manay Par yeh kambakht dil unse rootha hi nahi.. Pehle to yun guzar jati thi, Mohabbat hui to raton ka ehsaas hua

Apno ki to nafrat bhi main hans kar kabool kar leta hun

Apno ki to nafrat bhi main hans kar kabool kar leta hun, Gairon ki to duaein bhi nahi leta. Hume to pyar ke do lafz hi naseeb nahi aur badnaam aise, Jaise ishq ke badshaah the hum. Khushiyan lakhon pa li tere jaane ke baad, Lekin ek tera gum hamesha bhari pada in par

Meri zindgi mujhe ye bata Mujhe bhoolker tujhe kya mila

Meri zindgi mujhe ye bata Mujhe bhoolker tujhe kya mila Meri hasraton ka hisab de, Dil todker tujhe kya mila Tere chaar din ke pyar se, Mujhe umr bhar ka gum mila Main toot kar bikhar gayi Mujhe tod kar tujhe kya mila..

Hal kaisa hai Janab ka, Hal kaisa hai Janab ka, Kya khayal hai aap ka,

Hal kaisa hai Janab ka, Hal kaisa hai Janab ka, Kya khayal hai aap ka, Hum to So gaye ho ho ho. Tum bhi So jawo ha ha ha.

Kyun kisi se itna pyar ho jata hai, ek din jeena bhi dushwaar ho jata hai

Kyun kisi se itna pyar ho jata hai, ek din jeena bhi dushwaar ho jata hai. Lagne lagte hain apne bhi paraye, aur ek ajnabi par itna aitbaar ho jata hai…

Kisi ke vaade par Zindagi tabah kar baithe

Kisi ke vaade par Zindagi tabah kar baithe, Deewangi mein ye kaisa gunah kar baithe, Ek chand ki aarzoo ke liye, Apni haseen raton ko fanah kar baithe.

Mehboob ka ghar ho ya phir farishton ki zameen

Mehboob ka ghar ho ya phir farishton ki zameen, Jo ek baar chhod diya usse phir mud kar nahin dekha.. Harana ho toh maidan main aakk harana, Varna dil jeetne ki adat toh mujhe bachpan se hai.. Mat Karo Mere Lafzon Ko Itna bhi Pasand, Ki Tumhe bhi Is Shayar se Pyar Na Ho Jaye.

Koi na bhi de khush rehne ki dua mujhe to koi baat nahi

Koi na bhi de khush rehne ki dua mujhe to koi baat nahi, Vaise bhi hum khushiyan rakhte nahi baant diya karte hain.. Jo aasani se mil jaye uski khwahish kisse, Zidd to uski hai jo muqadar main likha hi nahi… Hukumat vo hi karta hai jiska dilon par raaj ho, Yun toh gali ke murge ke sir par bhi taaj hota hai.

Akela Sa Mehsus Karo Jab Tanhai Mein, Yaad Meri Aaye Jab Judai Mein

Akela Sa Mehsus Karo Jab Tanhai Mein, Yaad Meri Aaye Jab Judai Mein, Mehsus Karna Tumhare Hi Paas Hoon Main, Jab Chahe Mujhe Dekh Lena Apni Parchai Mein

Har Insan Dil Ka Bura Nahi Hota, Har Koi Insan Bewafa Nahi Hota

Har Insan Dil Ka Bura Nahi Hota… Har Koi Insan Bewafa Nahi Hota… Bujh Jate He Diye Aksar Tel Ki Kami Se… Har Bar Kasur Hawao Ka Nahi Hota

Waqt noor ko benur kar deta hai, Thode se jakhm ko nasoor kar deta hai

Waqt noor ko benur kar deta hai, Thode se jakhm ko nasoor kar deta hai, Kaun chahta hai apno se door hona Par waqt sabko majbur kar deta hai.

Chup rahoge to Baat kaun karega, Hum na honge To Yaad kaun karega

Chup rahoge to Baat kaun karega, Hum na honge To Yaad kaun karega, Maana ke Hum itne sweet To nahi ..Jo Aapko Pal – Pal yaad Aaye, Par Hum na Rahe To Aapko Pareshaan bhi kaun Karega.

Na pucho mere sabr ki inteha kahan tak hai

Na pucho mere sabr ki inteha kahan tak hai, Wo karle sitam uski takat jahan tak hai, Wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi, Ab dekhna hai wo bewafa kahan tak hai..

Unhone jab dil ka haal batana chhod diya

Unhone jab dil ka haal batana chhod diya, Humne bhi unke kareeb jana chhod diya, Jab unko hi ehsaas nahi doori ka, To humne bhi ehsaas dilana chhod diya..

Dushmano mein bhi dost mila karte hain

Dushmano mein bhi dost mila karte hain, Kaanton mein bhi phool khila karte hain, Hum ko kaanta samajh kar chhod na dena, Kaante hi phoolon ki hifazat kiya karte hain..

Na kar zidd apni hadd mein hi reh ae dil,

Na kar zidd apni hadd mein hi reh ae dil, Vo bade log hain apni ichha se hi yaad karte hai. Agar koi tumse naraz ho to usse us waqt mana lena chahiye, Kyunki roothi aur tuti cheez dobara judhne main bahut waqt leti hai… Kaise khatam kar do main apna rishta usse, Jisse sirf mehsus karne se hi main saari duniya bhul jata hoon

Aapki dosti ko ehsaan maangte hai Nibhana apna imaan maangte hai

Aapki dosti ko ehsaan maangte hai Nibhana apna imaan maangte hai Lekin ham wo nahi jo dosti me apni jaan de denge Kyonk dosto ko to ham apni jaan maante hai.

Sambhal jaane ka hunar shayad khota ja raha hun

Sambhal jaane ka hunar shayad khota ja raha hun, Main ab bikharta hun to bikharta hi chala jata hun.. Bade khoobsurat waham mein zindagi guzaar di maine, Kahin to koi hai o sirf mera hai.. Mulaqat zaruri hai agar rishte bachane hai, lagakar bhul aane se to paudhe bhi sukh jaate hain

Kya likhun main apni zindagi ke baare mein

Kya likhun main apni zindagi ke baare mein Mujhse to vo log bhi bichhad gaye jo kabhi meri zindagi hua karte the.. Teri khatir apni jaan de to dun par Uska dil kaise dukhaun jo har roz darvaje par mera intezaar karti hai.. Tum agar mujhe nahin chahoge to koi baat nahin, Tum agar kisi aur ko chahoge toh phir dikkat hogi..

Hume bhi sambhal jaane ka hunar aata hota

Hume bhi sambhal jaane ka hunar aata hota, Yun is tarah main jahan mein bikharta na jata. Mere katil bhi pareshan hai mere chahne walon ki dua se, Jab bhi vaar karte hain khanjar toot jate hain. Mujhko pana hai to mujh mein utar kar dekho, Yun kinaron se samudra ko dekha nahi jata..

Koi dard hi na ho mujhe aisa bana do, Mujhe Aap apne hi jaisa bana do

Koi dard hi na ho mujhe aisa bana do, Mujhe Aap apne hi jaisa bana do, Maayoos hota hoon jab woh todte hain dil, Ek patthar ka dil mere bhi seene mein laga do.

Tum hanso to khushi Mujhe hoti hai Tum udas ho to ankhen Meri roti hain

Tum hanso to khushi Mujhe hoti hai Tum udas ho to ankhen Meri roti hain Tum dor ho to bechaini Mujhe hoti hai Tum ehsaas kar ke dekh lo mohabbat aisi hoti hai

Khushi Itni Ho Ki Aap Dikha Sako, Gum Bas Itna Ho Ki Aap Chupa Sako

Khushi Itni Ho Ki Aap Dikha Sako, Gum Bas Itna Ho Ki Aap Chupa Sako, Zindagi Me Ek Dost Aisa Rakna, Jiske Liye Aap Mood Off Mein Bhi Muskura Sako

Pyar Pyar se dur hota ja raha hai, Pyar Pyar se majbur hota ja raha hai

Pyar Pyar se dur hota ja raha hai, Pyar Pyar se majbur hota ja raha hai, Matlab nikalane ke liye har koi Pyar karta hai, Yeh zamane ka dastoor hota ja raha hai..!

Kyun karte ho dikhawa mujhse nafrat karne ka kyun karte ho koshish mujhse dur jane ka

Kyun karte ho dikhawa mujhse nafrat karne ka kyun karte ho koshish mujhse dur jane ka Hai mohabbat tere dil main mere liye pata hia mujhe Fir karte ho kyun koshish isse chupane ka

Jaane kaun se gham ko chupane ki koshish thi unki

Jaane kaun se gham ko chupane ki koshish thi unki Aaj har baat par unko muskurate dekha. Guroor unko bhi hai, guroor humko bhi hai Bas isi jang ko jeetne mein, hum dono haar gaye. Is kadar humdardi wo zamane ko dikhlate rahe.. Wo dil mein zakhm de ke aksar marham bhi lagate rahe

Mana Ki Tumhein Mujhse Jyada Gham Hoga

Mana Ki Tumhein Mujhse Jyada Gham Hoga, Magar Rone Se Yeh Gham Kabhi Na Kam Hoga, Jeet Hi Lenge Dil Ki Nakam Baaziyan Hum, Agar Mohabbat Mein Hamari Dam Hoga

Mohabbat ka syrup ho tum, Tension ka capsule ho tum

Mohabbat ka syrup ho tum, Tension ka capsule ho tum, Aafat ka injection ho tum, Par kya kare jhelna padta hai, Kyonki… DOSTI ka oxygen ho tum.

Jalaa hai jism jahaan dil bhi jal gaya hoga

Jalaa hai jism jahaan dil bhi jal gaya hoga Kuredte ho jo ab raakh justajoo kya hai. Zindagi mein toh woh mehfil se utha dete the Dekhun ab mar gaye par kaun uthaata hai mujhe. Aisa aasaan nahin lahoo rona Dil mein taaqat jigar mein haal kahaan.

Aaj hum roye tanha unko bhulane ke liye, Tamaam yaad hai unki hume rulane ke liye

Aaj hum roye tanha unko bhulane ke liye, Tamaam yaad hai unki hume rulane ke liye, Unki yaadon ko mitane ka jariya na mila, Humne khud ko mitaya unki yaadon ko mitane ke liye,

Poochonga unki aankhon mein yeh koshish kahan se aayi

Poochonga unki aankhon mein yeh koshish kahan se aayi, Jo harek ke dil mein utar jaya karte hain. Abhi usne dekha hi kahan mere ashkon ka sailab Ankhon se aansu bahar aate hain shahar doob jate hain. Ajeeb sangdilon ki hai yeh duniya, Meri barbadiyon par log hans rahe the..

Rishton ki dori kamzor hoti hai, Aankhon ki baatein dil ki chor hoti hai

Rishton ki dori kamzor hoti hai, Aankhon ki baatein dil ki chor hoti hai, Khuda ne jab bhi pucha dosti ka matlab, Hamari ungli aapki taraf hoti hai.

Mehsus to ab ho raha hum dono ki mohabbat ka fark

Mehsus to ab ho raha hum dono ki mohabbat ka fark, Main use beintehan chahta raha woh mujhse fareb karta raha.. Kisi ke dil ki basti mein na bas paye to gila kya Hum nakaam mohabbat ki mehfil hi saza lenge. Ajeeb kashmakash mein fas gai hai zindagi meri Main intezaar karun uska ya aakhri safar Pe chaloon.

Choole aasman zameen ki talaash na kar, Jee le zindagi khushi ki talaash na kar

Choole aasman zameen ki talaash na kar, Jee le zindagi khushi ki talaash na kar, Taqdeer badal jayegi khud hi mere dost, Muskurana seekh le wajah ki talaash na kar.

Teri dosti mein nasha hai, Tabhi toh duniya hamse khafa hai

Teri dosti mein nasha hai, Tabhi toh duniya hamse khafa hai, Na karo humse itni mohabbat dost, Ki dil hi puche dhadkan kahan hai.

Koi Mausam Ho, Dil Mein Hai Tumhaari Yaad Ka Mausam

Koi Mausam Ho, Dil Mein Hai Tumhaari Yaad Ka Mausam, Ke Badla Hi Nahi Jaanam Tumhare Baad Ka Mausam.. Nahi To Aazma Ke Dekh Lo, Kaise Badalta Hai ? Tumhaare Muskaraane Se Dil-e-Nashaad Ka Mausam.. Kaheen Se us Haseen Awaaz Ki Khushbuu Pukaare Gi, To Is Ke Saath Badle Ga Dil-e-Barbaad Ka Mausam.. Qafas Ke Baam-o-Dar Mein Roshni Si Aayi Jaati Hai, Chaman Mein Aagaya Shayad Lab-e-Aazaad Ka Mausam.. Mere Sheher-e-Pareshaan Mein Teri Be-Chaand Raaton Mein, Bohat Hee Yaad Karta Hun Teri Bunyaad Ka Mausam.. Na Koi Gham Khizaan Ka Hai, Na Khwaahish Hai Bahaaron Ki, Hamaare Saath Hai “Ram” Kisi Ki Yaad Ka Mausam…

Yeh dosti chirag hai ,ise jalaye rakhana

Yeh dosti chirag hai ,ise jalaye rakhana Yeh dosti gul hai ise khilaye rakhana. Hum rahe na rahe is jahan mein. Bus hamari yaad dil mein basaye rakhana…

Ab bhi taza hai zakhm seene mein, Bin tere kya rakha hai jeene mein

Ab bhi taza hai zakhm seene mein, Bin tere kya rakha hai jeene mein, Hum to zinda hain tera sath pane ko, Warna der kitni lagti hai zaher peene mein.

DaiKh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pe

DaiKh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pe Jo Lahoo Se Tameer Hue The, Paani Se Bah Gaye…! Jo buraayi mere naam se mansoob huyi.. Dosto! kitna bura tha mera acha hona.. Badle to nahin hain woh dil-o-jaan ke zakhm.. Ankhon ki jalan, Dil ki chubhan ab bhi wohi hai.

Ajeeb si thi vo, muhe badal kar khud badal gayi

Ajeeb si thi vo, muhe badal kar khud badal gayi.. Bheegenge jo kisi roz, hum mohabbat ki barsaat mein, Phir kamzor se is dil ko, ishq ka bukhar pakka hai. Rok do mere janaaze ko, ab mujhme jaan aa rahi hai, Aage se thoda sa right le lo, daru ki dukaan aa rahi hai.

In ankho se sapne churaya na karo Humari dosti ko azmaya na karo

In ankho se sapne churaya na karo Humari dosti ko azmaya na karo, Tumhari ek hansi meri dil ki dhadkan hai Unhe yun na ansuo mein gavaya karo…

Yeh bhi ek dua hai khuda se, Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se

Yeh bhi ek dua hai khuda se, Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se, Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe, Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se.

Kehte Hai Dost banana zindagi Hai Dosti nibhana zindagi Hai

Kehte Hai Dost banana zindagi Hai Dosti nibhana zindagi Hai Kitne bhi busy kyu na rahe dinbhar Magar 1pal ke liye hi sahi Dosto ki yaad aana hi zindagi hai..

Shayari Ek pahchan hajaro Dost bana deti hain

Ek pahchan hajaro Dost bana deti hain, Ek muskaan hajaro gum bhula deti hain Zindagi ke safar me sambhal kar chalna Ek galti hajaro sapne jala kr raakh deti hai

Shayari Bade ajeeb hain yeh zindagi ke raaste

Bade ajeeb hain yeh zindagi ke raaste, Anjane mod par kuchh log dost ban jate hain, Milne ki khushi de ya na de Bichhadne ka gam zarur de jate hain…

Shayari Soch ko badlo, sitare badal jayenge

Soch ko badlo, sitare badal jayenge, Nazar ko badlo, nazare badal jayenge, Kashtiyan badalne ki zarurat nahi, Dishaon ko badlo, kinare badal jayenge.

Shayari Ye arzoo nahi ki kisi ko bhulayein hum

Ye arzoo nahi ki kisi ko bhulayein hum. Na tammana hai kisi ko rulayein hum. Par dua hai us rab se ek hi, Jisko jitana yaad karte hain usko utana yaad aayein hum.

Shayari Jahan yaad na aaye teri,Woh tanhaai kis kaam ki

Jahan yaad na aaye teri,Woh tanhaai kis kaam ki. Bigde rishte na bane,To khudaai kis kaam ki. Beshak apni manzil tak jana hai hamein, Lekin jahaan se apne na dikhein, Woh oonchaai kis kaam ki!

Shayari Gum-e-Zindagi ke sitamvaar bahut hain

Gum-e-Zindagi ke sitamvaar bahut hain… Ranj-o-Mayusi ke deedar bahut hain… Himmat-e-Insaan ke aage kya nahi mumkin… Mana ke Sikast-o-Haar ke aasaar bahut hain.

Shayari Aankhon mein khushi, labon par hansi, Gham ka koi naam na ho

Aankhon mein khushi, labon par hansi, Gham ka koi naam na ho, Aapko jahan ki saari khushiyan mile, in khushiyon ki kabhi sham na ho!!! Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno mein jaan hoti hai, Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udan hoti hai. Tu Apne Seene Se Mujh Ko Yun Hi Lagaye Rakh.. Samajh Lun Taki Mein Tere DiL Ki Bat Achhi Tarha

Shayari Dosto Ki Kami Ko Pehchante Hain Hum.

Dosto Ki Kami Ko Pehchante Hain Hum. Duniya Ke Ghamon Ko Bhi Jante Hain Hum. Aap Jaise Dosto Ke Hi Sahare. Aaj Bhi Has Kar Jeena Jante Hai Hum

Shayari Har ek rooh ki saanson pe wazan dekh raha hoon

Har ek rooh ki saanson pe wazan dekh raha hoon, Main har ek sakhs ke haathon mein kafan dekh raha hoon. Arre logon khuda hone ka dava na karo, Main to insaan mein aadam ko bhi kam dekh raha hoon. Yeh hawaon mein zahar aur yeh bimaar fiza, Kal ko jo hona hai Anzaam-e-Chaman dekh raha hoon. Yeh khuda ke liye Qatl-e-Khudai chhoro, Nasl-e-Aadam mein tabahi ka chalan dekh raha hoon. Roshni walon andheron mein bhi jeena seekho, Mein aaftaab ke kadmon mein thakan dekh raha hoon.

Shayari Ye Dil Barbaad Karke Su Mein Kyun Abaad Rehte Ho

Ye Dil Barbaad Karke Su Mein Kyun Abaad Rehte Ho Koi Kal Keh Raha Tha Tum Allahabad Rehte Ho Ye Kaisi Shohratein Mujhko Ata Kar Di Mere Maula Main Sabh Kuch Bhool Jaata Hoon Magar Tum Yaad Rehte Ho 2. Hamare Sher Sun Kar Bhi Jo Khamosh Itna Hai Khuda Jaane Guroor-e-Husn Mein Madhosh Kitna Hai Kisi Pyale Se Poocha Hai Suraahi Main Sabab Mein Ka Jo Khud Behosh Ho Wo Kya Bataye Ke Hosh Kitna Hai

Shayari Yaadon mein hum rahein ye ehsas rakhna, Nazron se

Yaadon mein hum rahein ye ehsas rakhna, Nazron se door sahi dil ke paas rakhna, Yeh nahi kehte ke sath raho, Door sahi par yaad rakhna.

Shayari Yeh ishq nahi aasaan bus yun samajh lijiye

Yeh ishq nahi aasaan bus yun samajh lijiye, Aag ka dariya hai aur doob ke jana hai. Hum ne mohabaton ke nashe mein aa kar use khuda bana daala, Hosh tab aaya jab usne kaha ke khuda kisi ek ka nahi hota. Abhi mashroof hoon kaafi, kabhi fursat mein sochunga, Ke tujhko yaad rakhne mein mai kya kya bhool jaata hoon.

Shayari Pyar jab jism ki cheekho mein dafan ho jaye

Pyar jab jism ki cheekho mein dafan ho jaye odni is taraf uljhe ki kafan ho jaye ghar ke aisas jab bazar ki sharto mein dhale ajnabi log jab hamrah ban ke sath chale labon se asman tak sabki dua chubh jaye bheed ka sor jab kano ke pass ruk jaye sitam ki mari hui waqt ki in ankhin mein nami ho lakh magar fir bhi muskurayeinge andhere waqt mein bhi geet gayenge Log kehte rahein is raat ki subah hi nahi keh de suraj ki rosni ka tajurba hi nahi wo ladaye ko bhale aar par le jayen loha le jaye wo lohe ki dhar le jaye jiski chaukhat se taraju tak ho unpar girwi us adalt mein hamein bar bar le jaye hum agar gunguna bhi denge to wo sab ke sab humko kagaz se hara kar bhi har jayenge andhere waqt mein bhi geet gayen jayenge

Shayari Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai, Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai, Use pana nahi meri taqdeer mein shayad, Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.

Shayari Phool se pehle khusboo ko to dekho

Phool se pehle khusboo ko to dekho, Karne se pehle kaam ko to dekho, Kisi ke roop mein diwana na bano, Surat se pehle uske dil ko to dekho.

Shayari Phool se pehle khusboo ko to dekho

Phool se pehle khusboo ko to dekho, Karne se pehle kaam ko to dekho, Kisi ke roop mein diwana na bano, Surat se pehle uske dil ko to dekho.

Shayari Mana ke ham izhaar nahi karte

Mana ke ham izhaar nahi karte, Matlab ye nahi ki aapka khayal nahi karte, Mayoosi mai beet jate hai vo din, Jis din aap hamse baat nahi karte

Shayari Kya pata tha hume ki hum bhi kabhi aapse milenge

Kya pata tha hume ki hum bhi kabhi aapse milenge socha kisne tha ki ek din hum bhi pyar ke samandar mein kho jayenge ye to rab ki meher hai ki is nacheez ko bhi usne kabil samjha duva mein aapka haath humhe dena sahi samjha

Shayari Gujre pal beet jane per yaad aayenge

Gujre pal beet jane per yaad aayenge, Na hoga jab koi pass to sath yahi pal nibhayenge. Jab sabhi dost apna mukaam payenge, Tab chahker bhi na hum in palon ko dobara ji payenge

Shayari Hathon ki lakiroon pe mat jaa ae Ghalib

Hathon ki lakiroon pe mat jaa ae Ghalib, Naseeb unke bhi hote hain jinke haath nahi hote.. Mat poonch ki kya haal hai mera tere peeche, Tu dekh ke kya rang hai tera mere aage … Ishq per zor nahin, yeh woh aatish Ghalib, Ke lagaye na lage aur bujhaaye na bujhe.. Humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin, dil ke khush rakhne ko, Ghalib yeh khayaal achcha hai.. 5. Ishq ne ‘Ghalib’, nikamma kar diya Warna hum bhi aadmi the, kaam ke.

Shayari Har kashti ka kinara nahi hota, Jise karte hai pyar bas vahi

Har kashti ka kinara nahi hota, Jise karte hai pyar bas vahi hamara nahi hota, Rota hoga sagar bhi kisi ke intzaar mai, Warna sagar ka pani itna khara nahi hota…..

Shayari Kitnaa khouff hota hai shaam ke andheroon mein

Kitnaa khouff hota hai shaam ke andheroon mein, Pooncho un parindoo se jin ke ghar nahi hote …” Dil ae tere nigaah jigar tak utar gayi, Dono ko ek adaa mein razaamand kar gayi.. Husn-e-maah garche ba-hangaam-e-kamaal achchaa hai Us-se mera maah-e-kursheed jamaal achcha hai

Shayari Chaho to dil se hamko mitta dena Chaho to humko bhula dena

Chaho to dil se hamko mitta dena Chaho to humko bhula dena Par Yeh wada karo ki aaye jo kabhi yaad hamari To rona nahi Bus muskura dena…

Shayari Na khuda dil banata na kisise pyar hota

Na khuda dil banata na kisise pyar hota, Na kisiki yaad ati na kisika intazar hota. Dil diya hai ise sambhal ke rakhna, Shishe se bana hai pathar se dur rakhna!

Shayari Kinne log si tere Zanaje de pichhe

Kinne log si tere Zanaje de pichhe, Ek main nahi si tere Zanaje de pichhe, Main honda vi kevain tere Zanaje de Pichhe, Mera Zanaja jo ja rehya si tere Zanaje de pichhe

Shayari Roohan Da Pyar pa ke oh tur Gaye,

Roohan Da Pyar pa ke oh tur Gaye, Keh gaye ki tuhanu Azad keeta, par ohna Azad ho K ki Karna Jina nu, Tusi rooha tak Barbad keeta

Shayari Zahid sharab peene de masjid mein beth kar

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar, Yaa woh jagah bata jahan Khuda nahin.. Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin, Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin.. Kaafir ke dil se aya hoon mein yeh dekh kar, Khuda maujood hai wahan, Par use pata nahin.

Shayari Dard mai har koi muskura nahi sakta

Dard mai har koi muskura nahi sakta, Apne dil ki baat mai sabko bata nahi sakta, Yeh roshni lene walo khud mehsus kar lena, Chirag jal sakta hai lekin apni taklif bata nahi sakta

Shayari Husn-e-maah garche ba-hangaam-e-kamaal achchaa hai

Husn-e-maah garche ba-hangaam-e-kamaal achchaa hai Us-se mera maah-e-kursheed jamaal achcha hai Bosa dete nahin aur dil pe hai har lehzaa nigaah Jee mein kehte hain ki muft haath aaye to maal achcha hai Aur bazaar se le aaye agar toot gayaa Saagar-e-Jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai

Shayari Ha mera har lamha chura liya aapne

Ha mera har lamha chura liya aapne, Aakho ko ek chand dekha deya aapne, Hume zindagi de kisi aur ne, Par pyaar itna dekar jeena sikhaya aap ne…

Shayari Har gum ki dawaa nahi hoti, Kya hota jo dua nahi hoti

Har gum ki dawaa nahi hoti, Kya hota jo dua nahi hoti, Be-khuaff log tod dete hai dil, Yeh soch ke ki is zurm ki koi sazza nahi hoti

Shayari Tadap kar dekho kisiki chahat mein

Tadap kar dekho kisiki chahat mein Pata chalega intezar kya hota hai Yun hi mil jata bina tadpe koi kisiko To kais pata chalega ki pyar kya hota hai.

Shayari Dil nu lag jan rog tan ki kariye, Dil nu lag jan rog tan ki kariye

Dil nu lag jan rog tan ki kariye, Dil nu lag jan rog tan ki kariye, Kisi di yaad chakhian ron tan ki kariye, Sanu milne di tamana ta rehandi hai dam, Je rab nu manjur naa hove tan ki kariye

Shayari Agar Tum Aaina Dekho To Apne Aap Se Nazarein Chura Lena

Agar Tum Aaina Dekho To Apne Aap Se Nazarein Chura Lena Ke Aksar Be-wafa Logon Ko Jab Wo Aaina Dekhen To Aankhen Chor Lagti Hain……

Shayari Dil karda ae tere kol aa ke ruk jaava

Dil karda ae tere kol aa ke ruk jaava teri bukkal wich rakh ke siir muk jaava hanju ban ke digga teriya aakhaa da tere bulla de kol aa ke sukk jaava

Shayari Dil ke dard ko dil todne wale kya jana, Pyar ki rasmo

Dil ke dard ko dil todne wale kya jana, Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane, Hoti hai kitni takliff kabar ke niche, Yeh upar se phool charane wale kya jane.

Shayari Is dil ka kaha mano ek kaam kar do

Is dil ka kaha mano ek kaam kar do Ek be-naam si mohabbat mere naam krdo Meri zaat pr faqat itna ahsaan kar do Kisi din subah ko milo, or shaam kr do..!!

Shayari Betalab dein to mazaa usme sivaa milta hai

Betalab dein to mazaa usme sivaa milta hai Woh gadaa jis mein na ho khu-e-sawaal achcha hai Unke dekhe se jo aati hai muh par raunaq Woh samajhte hain ki beemaar ka haal achcha hai Qatraa dariyaa mein jo mil jaayen to dariyaa ho jaaye Kaam achcha hai jo jiska ma’aal achcha hai

Shayari Lamha –lamha waqt gujar jayega

Lamha –lamha waqt gujar jayega, Chand lamho me exam aa jayega, Abhi bhi waqt hai do line pad lo, Warna pass kya tumhara sasur karvayega!

Shayari Ni tu baddi hi be-Lehaz ki kariye, Ni tu baddi hi dil saaz ki kariye

Ni tu baddi hi be-Lehaz ki kariye, Ni tu baddi hi dil saaz ki kariye, Sanu pata hai tere pyaar ch paike kuch nahi milna par dil fer vi na aave baaz ki kariye

Chandni raat thi, nadi ka kinara tha, Asman mein taron ka nazara tha

Chandni raat thi, nadi ka kinara tha, Asman mein taron ka nazara tha, premi ne pyar se hole se muskarate hue premika se kaha. “Darling. BIDEE PIOGEE ?

Shayari Ek aas , ek ehsaas, meri soch or bus tum

Ek aas , ek ehsaas, meri soch or bus tum, Ek sawal, ek majaal, tumhara khayal or bs tum, Ek baat, ek shaam, tumhara sath or bus tum, Ek dua, ek faryad, tumhari yaad or bus tum, Mera junoon, mera sukoon bus tum or bus tum.

Shayari Kabhi tum mujhe kareeb se aa ke dekna

Kabhi tum mujhe kareeb se aa ke dekna Aise nahi jara aur paas aa ke dekhna, Main tum se kitna pyar karta hoon, Mujhe kabhi seene se laga kar dekna, Main tuje ashko ki kataar me najar aaunga Meri yaad main kabhi aansu baha k dekna, Meri ghazal pad kar bhi tum par asar na ho Toh logo ko meri ghazal suna ke dekhna

Shayari Maine Rab Se Kaha Wo Chala Gaya Mujhe Chhodd Kar

Maine Rab Se Kaha Wo Chala Gaya Mujhe Chhodd Kar, Pata Nahin Kya Majburi Thi….!! Rab Ne Kaha Mujh Se Iss Mein Uska Koi Kasoor Nahin, Yeh Kahani Maine Likhi Hi Adhoori Thi.

Shayari bagon ko jab do ishq. krne walon ke pyar ne.

bagon ko jab do ishq. krne walon ke pyar ne. mehkaya.. ae mere bichhde sanam. tu mujhe bahut yaad. aaya.. wo hamara sapna. suhana, jahan se dur ek aashiyana.. dur na kr de koi humein, is darr ka har pal satana.. jab bhi nafrat krne walo. ne, deewano ka aashiyana jalaya.. ae mere bichhade sanam, tu mujhe bahut yaad aayaa. bichhdna naseeb mein. kyun likha us rab ko kosta hoon.. kyun khelta hai pyar, krne walon se yahi. puchhta hoon.. gar naseeb mein nahi. likha kyun use meri. zindgi banaya.. ae mere bichhade. sanam tu mujhe bahut. yaad aayaa…..

Funny Shayari Na jaan, naa pehchaan, Tu mera mehmaan And the award goes to A.R.Rehman!

Na jaan, naa pehchaan, Tu mera mehmaan …. And the award goes to A.R.Rehman! Kisi ko naa thi mere pyaar ki khabar, Diagram galat ho gaya, Rubber de Rubber..। Teri adaao pe main vaari vaari.. Dial 139 for Railway enquiry…। Na jeene ki aarzoo, Na marne ka khauf.., The number you are trying is currently switched off..। Apne ghamo ko bas, dil me daba lo… Naya Godrej powder hair dye, Bas kaato, gholo aur laga lo!! Yun khamosh rehkar tadpegi kab tak…? Cameraman Praful ke sath Deepak Chaurasiya AAJ TAK..। Mehngaayi ke iss daur mein karna padta hai apne kharche par kaaboo Ek chutki sindoor ki keemat tum kya jaano Ramesh Babu…….! Main hoon yahaa, Tu hai wahaa.. LIFEBUOY hai jaha, tandarusti hai waha! Blood donate karne se pehle hamesha uska Group jaanchna.. ……..Basanti, Inn kutto ke saamne mat naachnaaa!!! Yashomati maiya se bole nandlala… TATA SKY laga daala, to Life jhingalala..। Romeo ne Juliet se kaha ek sach.. Asli masaale sach-sach, MDH… MDH! Naach meri bul bul, tujhe paisa milega.. Hum CI

Shayari Apni mehroomi ke ehsaas se sharminda hain

Apni mehroomi ke ehsaas se sharminda hain.. Khud nahin rakhte to auron ke bujhate hain chiragh.. Jis tarah khawab mere ho gaye raizaa raizaa.. Is tarah na kabhi toot ke bikhre koi.. Do ghadi pyaar ki karein batein, Dil jalane ko umar saari hai..

Shayari Hum dosto ko jaan samjhate hai hum dosto ko humrah

Hum dosto ko jaan samjhate hai…. hum dosto ko humrah samjhate hai… dost hame bewafa samjhe to kya huwa… hum dosto ki parchaye banate hai…

Shayari Farishte se behter hai insaan banana

Farishte se behter hai insaan banana, Magar is mein lagti hai mehnat zyada.. Hai Ram aaj tak woh shakhss dil mein.. Ke jo us waqt bhi mera nahin tha.. Khuda to milta hai, Insaan hi nahin milta.. Yeh cheez woh hai jo dekhi kahin kahin maine

Shayari Gham mein hasne walon ko kabhi rulaya nahi jata

Gham mein hasne walon ko kabhi rulaya nahi jata, Lehron se pani ko hataya nahi jata, Hone wale ho jate hain khudhi dil se apne, Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.

Shayari Teri palkon pe khwab rakh gaya koi

Teri palkon pe khwab rakh gaya koi Teri saanso pe naam likh gaya koi Chalo wada raha bhool jana hame Agar humse achha yaar tumhe mil gaya koi…